'TAG' WALE LOG!
"TAG" WALE LOG!
Tag bhi na bada mehnga word hai. Jis product pe lag jaye,uski value khud-b- khud badh jati hai. But products tak to tag word suitable bhi hai aur mila-julakar thik bhi hai.
Mila- julakar se mere kehne ka matlabt hai ki jabse ye TAG word mehnga hua hai na duniya me gareebi jyada badh gayi hai.
Ab to khair kutte ko bhi log TAG wali cheezien hi dete hai. Aur kutte bhi bade shauk se aaram farmate hai(not Street dogs because they do not have tags on them).
Yahi baat kahin na kahin hum sab par laagu hoti hai. Market gaye aur TAG dekha aur aankh moond karke kharid Liya(and we do not bargain over big brand's tag,t&c apply).
Ye to hui products ki baat,par aadat aisi lagi TAG ki, ki hum apni neeji zindagi me aur aas-pados me bhi. Yahi apnane lage.
Like paise wale,izzat wale,rutbe wale,ladke wale, ladki wale,degree wale, irritating facebook wala tag aur bhi bahot sare tags(on the basis of our own thoughts). Aur jab TAG lag hi chuki hai to bikna to padega hi?
Aur hum sab ek dusre ko bikta hua dekhte rehte hai and we enjoy this a lot.
Hum sabko Apne -apne TAG ka bada ghamand hota hai. Aur Kuch logon ko to itna hota hai ki mohalle me 4 inch chaude hokar chalte hai chahe wo kitne bhi duble-patle kyun na ho. Aur hum log ek dusre ke TAG ko bahot sara respect dete hai chahe wo insaan andar se kitna bhi bura kyu na ho? Jaise ki branded cheezon ke sath karte hai, chahe wo comfortable ho ya na ho.
TAG ka bhi na process hota hai Jaise company me product bani to uske bad TAG lag gayi aur markets me bikne ke liye taiyaar.
Thik usi tarah hamari zindagi me bhi hota hai, jasie hi paida huye to maa-baap ke upar ladke ya ladki wale ka TAG. Thode bade huye to kisi school ka TAG, thode aur bade huye to kisi college ka TAG ,kuch ban gaye to uska TAG aur agar galti se kuch na bane to comma ke sath bahot sare TAGs.
Aur hum sab apne- apne TAGs ke sath behad khush aur santusht(fully satisfied) hokar jeete hai.
After al, we all are dependent over each others TAGs
Comments
Post a Comment