MORNINGS.
HAR SUBAH! Har subah uthta hun to mann ko matherte huye ek hi sawaal hota hai, ye subah itni jaldi kyun ho gayi? abhi aur sona hai like kisi janm me kumbhkaran the. Nind kabhi bhi poori hi nahin hoti subah me, actually sone ka process raat se lekar subah tak ka hota hai par last part ,college ke last semester jaisa ho jata hai, matlab bewajah dil sa lag jata hai. Jaise Devdaas ban gaye ho nind ke pyaar me Kon kambhakat uthne ke liye sota hai, Hum to sote hai taaki saare tensions bhool sakein, Us shabd ko bhool sakein ,Jise log kaam kehte hai... Aur itna comfort zone me hota hai humara body ki earthquake bhi aa jaaye to sochna pad jaaye uthun ki nahin? Par ye humare vash me to hai nahin ki subah hone se rok de, magar sona humare v...