HAPPY WOMEN'S DAY?
HAPPY WOMEN'S DAY?
Ab kal ki hi baat hai sab ke sab zor shor se women's day celebrate kar rahe the,ekdum se social sites pe like every woman should be respected. My mom,sister,wife,gf etc. is the best woman in the world.
Sabne achhe se achhe qoutes upload kiye,share kiye ye bataane ke liye ki dekh lo, mere mann me kitni respect hai auraton ke liye.
Par jaise hi aaj subah dekha ki facebook ke comment box me do log ek dusrein ki maa-behen ki izzat ki taraf nirlaz waale ishaare kar rahe hai to mujhe yaad aaya ki aaj wo aurton ko izzat dene wala vrat khatm ho gaya. Aur ye bahot badi khoobi hai hum me ki hum apne gusse ko inhi asadharan shabdon me express karte hai kyunki gusse ka izhaar hona bahot hi zaruri hai nahin to emotional block ho jata hai ,aisa log kehte hai.
So, kal jo women ki equal rights ke baare me baat kar rha tha, wo aaj kisi ki family ki auraton me equally gaaliyan distribute kar rha hai. Aur baat kal tak ki nahi ,baat sirf kal bhar ki hi hai kyunki agar women's day bhi kal nahi hota to hume pta kaise chalta ki auraton ka bhi koi importance hai hamari life me . Wo to bhala ho France ki un textile mill workers ka, jinki protest ki wajah se kahin na kahin hume ek aisa din mil gaya ,jis din hume ye ehsaas hota hai ki 'ohh ye log bhi keemati hai'.
Par kya waakai me hume zarurat hai ek aise khaas din ki ya muhurat ki? ki chalo aaj inke achhai ye bhalai ke baare me kuchh sochte hai.
Haan, hume zarurat hai ek aise khaas din ki jis din unhe ye batana pade ki wo kitni important hai hamari zindagi me kyunki rozmarra ki mol-bhaw me hum poori tarah bhool jaate hai ki unke bina hum duniya me exist bhi nahin karte hai, jo ki kahin na kahin bahot hi galat baat hai. Hume ye ehsaas roz honi chahiye ki wo hamare liye kitni jyada important hai.
Darasal, aurat shabd hi apne aap me ek bahot badi zimmedaari ka ehsaas karata hai, par bahot saare bewkoof log aaj bhi yahi sochte hai ki they are only a robot whose work is to produce babies and taking care of kitchen and all the household works and nothing else. And yes they are made for these things but not only for these specific things, they are more than this.
Ab kuchh organizations ko ye baat chubhti bhi rehti hai ki inko equal righs nahin milte, mardon ke barabar, par un bewkoofon ko ye ni pata ki auratien isliye nahin bani ki unko mardon ke barabar sab kuchh mile, they are unique in their own way ,they are far better than men.
They just need the same oppurtunities equals to men. They just need little attention,little care and more love (specially house wives).
So jinhe ye sab mil jaata hai wo bhi jee rahe hai aur jinhe nahin milta wo bhi , bas fark itna hai ki jinhe nahin mil raha wo...
अपनी सांसों को समेट लेती है,
गम को सीने में लपेट लेती है,
थोड़ी सी ज़िद्द और जद्दोजहद भरा बचपना लेकर, ज़िन्दगी को झेल लेती है।
NYC.....N true wrds said by u....
ReplyDeleteThanks.
ReplyDelete������ Well said....
ReplyDelete